dil ko malum hai kya baat batani hai use
us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai
Arshad Abdul Hamid
gham-e-jahan o gham-e-yar do kinare hain
udhar jo Dube wo aksar idhar nikal aae
Arshad Abdul Hamid
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khucha-e-KHak
aish jitne hain isi kunj-e-kam-asar mein hain
Arshad Abdul Hamid
hamein to shama ke donon sire jalane hain
ghazal bhi kahni hai shab ko basar bhi karna hai
Arshad Abdul Hamid
haweli chhoDne ka waqt aa gaya 'arshad'
sutun larazte hain aur chhat ki miTTi girti hai
Arshad Abdul Hamid
ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga
waqia hai to kisi taur bayan bhi hoga
Arshad Abdul Hamid
KHuda kare ye raushni paDe kabhi na mand
galon par wo likh gaya aadhe aadhe chand
Arshad Abdul Hamid
kis kis ko samjhaega ye nadani chhoD
chehre ko sundar bana aaina mat toD
Arshad Abdul Hamid
kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitare mere sine mein samae hue hain
Arshad Abdul Hamid