ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga
waqia hai to kisi taur bayan bhi hoga
dil atiyya kahin karta to pareshan hoga
KHair o KHubi se hi hoga wo jahan bhi hoga
ek din dekhna ruk jaenge dariya sare
ek din dekhna ye dasht rawan bhi hoga
aap duniya ko mohabbat ki dawa bechte hain
aap ke pas ilaj-e-gham-e-jaan bhi hoga
ek din aa hi milenge mere bichhDe hue log
KHatm ek roz to ye kar-e-jahan bhi hoga
dil bhi waisa hi hai kaifiyyat-e-jaan hai jaisi
haal badla to yahi raqs-kunan bhi hoga
shiddat-e-hijr hai mahsus to hogi 'arshad'
bojh sine pe agar hai to giran bhi hoga
Ghazal
Ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga
Arshad Abdul Hamid