ghaTaen ghirti hain bijli kaDak ke girti hai
ye kis ki pyas hai jo be-qarar phirti hai
ajib KHauf ki basti hai ye diya hi nahin
hawa bhi KHwahish-e-dil ko chhipae phirti hai
nazar na pher nadamat ko sair hone de
ye badli dil mein kahan roz roz ghirti hai
sameT leti hai har shai ko apne paikar mein
shabih kis ki hai jo putliyon mein phirti hai
haweli chhoDne ka waqt aa gaya 'arshad'
sutun larazte hain aur chhat ki miTTi girti hai
Ghazal
GhaTaen ghirti hain bijli kaDak ke girti hai
Arshad Abdul Hamid