hawa-e-hirs-o-hawas se mafar bhi karna hai
isi daraKHt ke sae mein ghar bhi karna hai
ana hi dost ana hi harif hai meri
isi se jang isi ko sipar bhi karna hai
chal aa tujhe kisi mahfuz ghar mein pahuncha dun
phir is ke baad mujhe to safar bhi karna hai
yahi nahin ki pahunchna hai aasmanon par
dua-e-wasl tujhe ab asar bhi karna hai
hamein to shama ke donon sire jalane hain
ghazal bhi kahni hai shab ko basar bhi karna hai
Ghazal
Hawa-e-hirs-o-hawas se mafar bhi karna hai
Arshad Abdul Hamid