muddaton ghaw kiye jis ke badan par hum ne
waqt aaya to usi KHwab ko talwar kiya
Arshad Abdul Hamid
miTTi ko chum lene ki hasrat hi rah gai
TuTa jo shaKH se to hawa le gai mujhe
Arshad Abdul Hamid
dil ko malum hai kya baat batani hai use
us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai
Arshad Abdul Hamid
mile jo us se to yaadon ke par nikal aae
is ek maqam pe kitne safar nikal aae
Arshad Abdul Hamid
main apne aap ko bhi dekhne se qasir hun
ye sham-e-hijr mujhe kya dikhana chahti hai
Arshad Abdul Hamid
kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitare mere sine mein samae hue hain
Arshad Abdul Hamid
kis kis ko samjhaega ye nadani chhoD
chehre ko sundar bana aaina mat toD
Arshad Abdul Hamid
KHuda kare ye raushni paDe kabhi na mand
galon par wo likh gaya aadhe aadhe chand
Arshad Abdul Hamid
ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga
waqia hai to kisi taur bayan bhi hoga
Arshad Abdul Hamid

