اردو हिंदी
Be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main | Shaahi Shayari
be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main

Ghazal

Be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

;

be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main
KHali hai shisha aur piye ja raha hun main

paiham jo aah aah kiye ja raha hun main
daulat hai gham zakat diye ja raha hun main

majburi-e-kamal-e-mohabbat to dekhna
jina nahin qubul jiye ja raha hun main

wo dil kahan hai ab ki jise pyar kijiye
majburiyan hain sath diye ja raha hun main

ruKHsat hui shabab ke hamrah zindagi
kahne ki baat hai ki jiye ja raha hun main

pahle sharab zist thi ab zist hai sharab
koi pila raha hai piye ja raha hun main