siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
Shahryar
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua
dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
Shaikh Zahuruddin Hatim
kisu mashrab mein aur mazhab mein
zulm ai mehrban nahin hai durust
Shaikh Zahuruddin Hatim
chahiye KHud pe yaqin-e-kaamil
hausla kis ka baDhata hai koi
Shakeel Badayuni
ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasar
aaram mein hai wo jo takalluf nahin karta
save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality
Sheikh Ibrahim Zauq
tamiz-e-KHwab-o-haqiqat hai shart-e-bedari
KHayal-e-azmat-e-mazi ko chhoD haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'wahid'
unhin ke nam hain duniya mein jin ke kaam achchhe hain
Wahid Premi