zindagi nam hai ek johd-e-musalsal ka 'fana'
rah-rau aur bhi thak jata hai aaram ke baad
Fana Nizami Kanpuri
har musibat ka diya ek tabassum se jawab
is tarah gardish-e-dauran ko rulaya main ne
Fani Badayuni
maujon ki siyasat se mayus na ho 'fani'
girdab ki har tah mein sahil nazar aata hai
Fani Badayuni
mere naKHuda na ghabra ye nazar hai apni apni
tere samne hai tufan mere samne kinara
Farooq Banspari
mizaj alag sahi hum donon kyun alag hon ki hain
sarab o aab mein poshida qurbaten kya kya
Fuzail Jafri
koi ek zaiqa nahin milta
gham mein shamil KHushi si rahti hai
Ghulam Murtaza Rahi
chale chaliye ki chalna hi dalil-e-kaamrani hai
jo thak kar baiTh jate hain wo manzil pa nahin sakte
Hafeez Banarasi