koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke baad thoDa muqaddar talash ka
Nida Fazli
sare patthar nahin hote hain malamat ka nishan
wo bhi patthar hai jo manzil ka nishan deta hai
Parvez akhtar
na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega
hamare panw ka kanTa hamin se niklega
Rahat Indori
hanwar se laDo tund lahron se uljho
kahan tak chaloge kinare kinare
Raza Hamdani
hazar barq gire lakh aandhiyan uTThen
wo phul khil ke rahenge jo khilne wale hain
Sahir Ludhianvi
wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
use ek KHub-surat moD de kar chhoDna achchha
Sahir Ludhianvi
mazi-e-marhum ki nakaamiyon ka zikr chhoD
zindagi ki fursat-e-baqi se koi kaam le
Seemab Akbarabadi