gumshudgi hi asl mein yaro rah-numai karti hai
rah dikhane wale pahle barson rah bhaTakte hain
Hafeez Banarasi
tadbir ke dast-e-rangin se taqdir daraKHshan hoti hai
qudrat bhi madad farmati hai jab koshish-e-insan hoti hai
Hafeez Banarasi
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostani
Hafeez Jalandhari
ye bhi to sochiye kabhi tanhai mein zara
duniya se hum ne kya liya duniya ko kya diya
Hafeez Merathi
gharibi amiri hai qismat ka sauda
milo aadmi ki tarah aadmi se
Hairat Gondvi
mushkil ka samna ho to himmat na haariye
himmat hai shart sahib-e-himmat se kya na ho
Imdad Imam Asar
pyaso raho na dasht mein barish ke muntazir
maro zamin pe panw ki pani nikal paDe
Iqbal Sajid