aat ko jit to pata nahin lekin ye charagh
kam se kam raat ka nuqsan bahut karta hai
Irfan Siddiqi
uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye
ki nind shart nahin KHwab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
in andheron se pare is shab-e-gham se aage
ek nai subh bhi hai sham-e-alam se aage
Ishrat Qadri
kinare hi se tufan ka tamasha dekhne wale
kinare se kabhi andaza-e-tufan nahin hota
Jagan Nath Azad
asta sochte rahne se kidhar banta hai
sar mein sauda ho to diwar mein dar banta hai
Jaleel u0027Aaliu0027
jalane wale jalate hi hain charagh aaKHir
ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki
Jameel Mazhari
aastan bhi koi mil jaega ai zauq-e-niyaz
sar salamat hai to sajda bhi ada ho jaega
Jigar Barelvi