phul kar le nibah kanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
Khumar Barabankavi
mat baiTh aashiyan mein paron ko sameT kar
kar hausla kushada faza mein uDan ka
Mahfuzur Rahman Adil
waqt ki gardishon ka gham na karo
hausle mushkilon mein palte hain
Mahfuzur Rahman Adil
ye kah ke dil ne mere hausle baDhae hain
ghamon ki dhup ke aage KHushi ke sae hain
Mahirul Qadri
zara dariya ki tah tak to pahunch jaane ki himmat kar
to phir ai Dubne wale kinara hi kinara hai
Mahirul Qadri
ab hawaen hi karengi raushni ka faisla
jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega
the winds will now decide what happens to the light
those lamps that have the strength, will survive the night
Mahshar Badayuni
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh
Majrooh Sultanpuri