اردو हिंदी
Ishq mein pas-e-jaan nahin hai durust | Shaahi Shayari
ishq mein pas-e-jaan nahin hai durust

Ghazal

Ishq mein pas-e-jaan nahin hai durust

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

ishq mein pas-e-jaan nahin hai durust
is suKHan mein guman nahin hai durust

kisu mashrab mein aur mazhab mein
zulm ai mehrban nahin hai durust

Dar na dushman kun kaDkaDane mein
bang murghi ke yan nahin hai durust

kai diwan kah chuka 'hatim'
ab talak par zaban nahin hai durust