log kahte hain badalta hai zamana sab ko
mard wo hain jo zamane ko badal dete hain
Akbar Allahabadi
naz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein
mard hain wo jo zamane ko badal dete hain
Akbar Allahabadi
charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi
jala ke apna diya raushni makan mein la
Akbar Hyderabadi
'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk
is matami julus mein ek zindagi bhi hai
Akhtar Hoshiyarpuri
inhi gham ki ghaTaon se KHushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai
Akhtar Shirani
aain-e-jawan-mardan haq-goi o be-baki
allah ke sheron ko aati nahin rubahi
Allama Iqbal
'attar' ho 'rumi' ho 'raazi' ho 'ghazali' ho
kuchh hath nahin aata be-ah-e-sahar-gahi
Allama Iqbal