aabaad agar na dil ho to barbaad kijiye
gulshan na ban sake to bayaban banaiye
Jigar Moradabadi
apna zamana aap banate hain ahl-e-dil
hum wo nahin ki jin ko zamana bana gaya
Jigar Moradabadi
hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin
hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin
Jigar Moradabadi
jo tufanon mein palte ja rahe hain
wahi duniya badalte ja rahe hain
Jigar Moradabadi
qatra na ho to bahr na aae wajud mein
pani ki ek bund samundar se kam nahin
Junaid Hazin Lari
'kaif' paida kar samundar ki tarah
wusaten KHamoshiyan gahraiyan
Kaif Bhopali
lakiren khinchte rahne se ban gai taswir
koi bhi kaam ho, be-kar thoDi hota hai
Khalid Moin