uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten
roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye
Haidar Ali Aatish
maut se pahle jahan mein chand sanson ka azab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aae hain
Haidar Qureshi
dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi
maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
apne kandhon pe liye phirta hun apni hi salib
KHud meri maut ka matam hai mere jine mein
Haneef Kaifi
ai hijr waqt Tal nahin sakta hai maut ka
lekin ye dekhna hai ki miTTi kahan ki hai
Hijr Nazim Ali Khan
ai ajal ek din aaKHir tujhe aana hai wale
aaj aati shab-e-furqat mein to ehsan hota
Imam Bakhsh Nasikh
KHub-o-zisht-e-jahan ka farq na puchh
maut jab aai sab barabar tha
Imdad Imam Asar