aai hogi kisi ko hijr mein maut
mujh ko to nind bhi nahin aati
Akbar Allahabadi
uDhon ke sath log kahan tak wafa karen
buDhon ko bhi jo maut na aae to kya karen
Akbar Allahabadi
ai ajal kuchh zindagi ka haq bhi hai
zindagi teri amanat hi sahi
Akbar Haidri
chhoD ke mal-o-daulat sari duniya mein apni
KHali hath guzar jate hain kaise kaise log
Akbar Hyderabadi
ab nahin lauT ke aane wala
ghar khula chhoD ke jaane wala
Akhtar Nazmi
kaun jine ke liye marta rahe
lo sambhaalo apni duniya hum chale
Akhtar Saeed Khan
wo agar aa na sake maut hi aai hoti
hijr mein koi to gham-KHwar hamara hota
Akhtar Shirani