اردو हिंदी
Mere sar mein jo raat chakkar tha | Shaahi Shayari
mere sar mein jo raat chakkar tha

Ghazal

Mere sar mein jo raat chakkar tha

Imdad Imam Asar

;

mere sar mein jo raat chakkar tha
us ke zanu pe ghair ka sar tha

apne ghar un ko kya bulate hum
boriya bhi nahin mayassar tha

zabt-e-dil par bhi us ki mahfil mein
apna rumal ashk se tar tha

jaan dene mein soch kya karte
muflisi par bhi dil tawangar tha

KHub-o-zisht-e-jahan ka farq na puchh
maut jab aai sab barabar tha

aap jab tak na le chuke the dil
kuchh mizaj aur banda-parwar tha

hijr lahiq hua visal ke baad
kya hi ulTa mera muqaddar tha

jaur-e-ada ki tab kya lata
dil-e-kam-baKHt naz-parwar tha

sohbat-e-hur se hui nafrat
main jo teri ada ka KHugar tha

hai 'asar' ya nahin KHuda jaane
sunte hain us ka haal abtar tha