maut na aai to 'alwi'
chhuTTi mein ghar jaenge
Mohammad Alvi
mujh ko malum hai anjam-e-mohabbat kya hai
ek din maut ki ummid pe jina hoga
Mubarak Azimabadi
miTTi ka badan kar diya miTTi ke hawale
miTTi ko kahin taj-mahal mein nahin rakkha
Munawwar Rana
zindagi se to KHair shikwa tha
muddaton maut ne bhi tarsaya
Naresh Kumar Shad
jo log maut ko zalim qarar dete hain
KHuda milae unhen zindagi ke maron se
Nazeer Siddiqui
KHak aur KHun se ek shama jalai hai 'nushur'
maut se hum ne bhi sikhi hai hayat-arai
Nushur Wahidi
shukriya ai qabr tak pahunchane walo shukriya
ab akele hi chale jaenge is manzil se hum
Qamar Jalalvi