اردو हिंदी
Ki nazar maine jab ehsas ke aaine mein | Shaahi Shayari
ki nazar maine jab ehsas ke aaine mein

Ghazal

Ki nazar maine jab ehsas ke aaine mein

Haneef Kaifi

;

ki nazar main ne jab ehsas ke aaine mein
apna dil paya dhaDakta hua har sine mein

muddaten guzrin mulaqat hui thi tum se
phir koi aur na aaya nazar aaine mein

apne kandhon pe liye phirta hun apni hi salib
KHud meri maut ka matam hai mere jine mein

apne andaz se andaza lagaya sab ne
mujh ko yaron ne ghalat kar liya taKHmine mein

apni jaanib nahin ab lauTna mumkin mera
Dhal gaya hun main sarapa tere aaine mein

ek lamhe ko hi aa jae mayassar 'kaifi'
wo nazar jo mujhe dekhe mere aaine mein