hue namwar be-nishan kaise kaise
zamin kha gai aasman kaise kaise
Ameer Minai
putliyan tak bhi to phir jati hain dekho dam-e-naza
waqt paDta hai to sab aankh chura jate hain
Ameer Minai
maut hi insan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaegi
Arsh Malsiyani
zindagi ki bisat par 'baqi'
maut ki ek chaal hain hum log
Baqi Siddiqui
one walon ne uTha rakkha tha ghar sar par magar
umr bhar ka jagne wala paDa sota raha
Bashir Badr
wo jin ke zikr se ragon mein dauDti thin bijliyan
unhin ka hath hum ne chhu ke dekha kitna sard hai
Bashir Badr
andhan sa ek bandha tha rag-o-pai se jism mein
marne ke baad hath se moti bikhar gae
Bashiruddin Ahmad Dehlvi