اردو हिंदी
Lafz teri yaad ke sab be-sada kar aae hain | Shaahi Shayari
lafz teri yaad ke sab be-sada kar aae hain

Ghazal

Lafz teri yaad ke sab be-sada kar aae hain

Haidar Qureshi

;

lafz teri yaad ke sab be-sada kar aae hain
sare manzar aainon se KHud miTa kar aae hain

jal chuke sari mahakti KHwahishon ke jab gulab
mausamon ke dukh nigahon mein jala kar aae hain

ek lamhe mein kai sadiyon ke nate toD kar
sochte hain apne hathon se ye kya kar aae hain

raste to kho chuke the apni har pahchan tak
hum janaze manzilon ke KHud uTha kar aae hain

sare rishte jhuT hain sare talluq pur-fareb
phir bhi sab qaem rahen ye bad-dua kar aae hain

har chhalakte ashk mein taswir jhalkegi teri
naqsh pani par tera an-miT bana kar aae hain

maut se pahle jahan mein chand sanson ka azab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aae hain

sare shikwe bhul kar aao milen 'haidar' unhen
wo gae lamhon ko phir wapas bula kar lae hain