man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj
hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile
Kaif Bhopali
ahne ko sada dahr mein aata nahin koi
tum jaise gae aise bhi jata nahin
Kaifi Azmi
ichhDa kuchh is ada se ki rut hi badal gai
ek shaKHs sare shahr ko viran kar gaya
Khalid Sharif
jaane kyun ek KHayal sa aaya
main na hunga to kya kami hogi
Khalilur Rahman Azmi
teri wafa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
Khalilur Rahman Azmi
maut ki ek alamat hai agar dekha jae
ruh ka chaar anasir pe sawari karna
Khursheed Rizvi
aaKHir ek roz to paiwand-e-zamin hona hai
jama-e-zist naya aur purana kaisa
Lala Madhav Ram Jauhar