jab tum se mohabbat ki hum ne tab ja ke kahin ye raaz khula
marne ka saliqa aate hi jine ka shuur aa jata hai
Sahir Ludhianvi
tera milna KHushi ki baat sahi
tujh se mil kar udas rahta hun
Sahir Ludhianvi
main KHayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai
I am someone else's thought, someone else brings me to mind
my image in the mirror wrought, someone else is there behind
Saleem Kausar
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
Salim Saleem
main ghaTta ja raha hun apne andar
tumhein itna ziyaada kar liya hai
Salim Saleem
koi ai 'shakil' puchhe ye junun nahin to kya hai
ki usi ke ho gae hum jo na ho saka hamara
But for madness what is this, can anyone divine?
I am hers forevermore, who never can be mine
Shakeel Badayuni
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de
My companion, my intimate, be not a friend and yet betray
The pain of love is fatal now, for my life please do not pray
Shakeel Badayuni