nind ko log maut kahte hain
KHwab ka nam zindagi bhi hai
Ahsan Yusuf Zai
ji laga rakkha hai yun tabir ke auham se
zindagi kya hai miyan bas ek ghar KHwabon ka hai
Ain Tabish
hum tere KHwabon ki jannat se nikal kar aa gae
dekh tera qasr-e-ali-shan KHali kar diya
Aitbar Sajid
han kabhi KHwab-e-ishq dekha tha
ab tak aankhon se KHun Tapakta hai
Akhtar Ansari
koi maal-e-mohabbat mujhe batao nahin
main KHwab dekh raha hun mujhe jagao nahin
Akhtar Ansari
main ne jo KHwab abhi dekha nahin hai 'aKHtar'
mera har KHwab usi KHwab ki tabir bhi hai
Akhtar Hoshiyarpuri
KHwab galiyon mein phir rahe the aur
log apne gharon mein soe the
Akhtar Razaa Saleemi