dikhai KHwab mein di thi Tuk ek munh ki jhalak hum kun
nahin taqat ankhiyon ke kholne ki ab talak hum kun
Abroo Shah Mubarak
ala-e-jaan thi jo bazm-e-tamasha chhoD di main ne
KHusha ai zindagi KHwabon ki duniya chhoD di main ne
Abu Mohammad Sahar
darwaza khaTkhaTa ke sitare chale gae
KHwabon ki shaal oDh ke main unghta raha
Adil Mansuri
nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi
subh hui zamin par raat Dhali mazar mein
Adil Mansuri
kabhi jo yar ko dekha to KHwab mein dekha
meri murad bhi aai to mustaar aai
Agha Hajju Sharaf
nahin karte wo baaten aalam-e-ruya mein bhi hum se
KHushi ke KHwab bhi dekhen to be-tabir hote hain
Agha Hajju Sharaf
kisi ko KHwab mein aksar pukarte hain hum
'ata' isi liye sote mein honT hilte hain
Ahmad Ata