TuT kar ruh mein shishon ki tarah chubhte hain
phir bhi har aadmi KHwabon ka tamannai hai
Asghar Mehdi Hosh
KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae KHwab sajaun
Athar Nafees
aaina aaina tairta koi aks
aur har KHwab mein dusra KHwab hai
Atiiqullah
har ek raat ko mahtab dekhne ke liye
main jagta hun tera KHwab dekhne ke liye
Azhar Inayati
hamare KHwab chori ho gae hain
hamein raaton ko nind aati nahin hai
Bakhsh Layalpuri
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
Bayan Meeruti
ahti hui aankhon ki rawani mein mare hain
kuchh KHwab mere ain-jawani mein mare hain
Ejaaz tawakkal