pyar gaya to kaise milte rang se rang aur KHwab se KHwab
ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi
Ghulam Mohammad Qasir
tumhaare KHwab se har shab lipaT ke sote hain
sazaen bhej do hum ne KHataen bheji hain
Gulzar
aasar-e-ishq aankhon se hone lage ayan
bedari ki taraqqi hui KHwab kam hua
Haidar Ali Aatish
ziyarat hogi kabe ki yahi tabir hai is ki
kai shab se hamare KHwab mein but-KHana aata hai
Haidar Ali Aatish
har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya
wo zindagi ko ye kaisa azab de ke gaya
Hakeem Manzoor
hamari jeb mein KHwabon ki rezgari hai
so len-den hamara dukan se bahar hai
Hasan Abbas Raza
sara-e-dil mein jagah de to kaT lun ek raat
nahin hai shart ki mujh ko sharik-e-KHwab bana
Hasan Nayeem