zindagi chhin le baKHshi hui daulat apni
tu ne KHwabon ke siwa mujh ko diya bhi kya hai
Akhtar Saeed Khan
mana ki sab ke samne milne se hai hijab
lekin wo KHwab mein bhi na aaen to kya karen
Akhtar Shirani
aha KHwab mein un se shab bhar visal
mere baKHt jage main soya kiya
Ameer Minai
itna bedariyon se kaam na lo
dosto KHwab bhi zaruri hai
Ameer Qazalbash
jagti aankh se jo KHwab tha dekha 'anwar'
us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili
Anwar Sadeed
hum bulate wo tashrif late rahe
KHwab mein ye karamat hoti rahi
Anwar Shuoor
hal kar liya majaz haqiqat ke raaz ko
pai hai main ne KHwab ki tabir KHwab mein
Asghar Gondvi