mere KHwabon mein bhi tu mere KHayalon mein bhi tu
kaun si chiz tujhe tujh se juda pesh karun
Sahir Ludhianvi
kahani likhte hue dastan sunate hue
wo so gaya hai mujhe KHwab se jagate hue
Saleem Kausar
usi ke KHwab the sare usi ko saunp diye
so wo bhi jit gaya aur main bhi haara nahin
Sarfraz Khalid
main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata
ki iKHtitam kahan KHwab ke safar ka hua
Shahryar
ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara
Shahryar
ishq us ka aan kar yak-bargi sab le gaya
jaan se aaram sar se hosh aur chashmon se KHwa
Shaikh Zahuruddin Hatim
muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal
hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim