اردو हिंदी
Aane wali thi KHizan maidan Khaali kar diya | Shaahi Shayari
aane wali thi KHizan maidan Khaali kar diya

Ghazal

Aane wali thi KHizan maidan Khaali kar diya

Aitbar Sajid

;

aane wali thi KHizan maidan KHali kar diya
kal hawa-e-shab ne sara lawn KHali kar diya

hum tere KHwabon ki jannat se nikal kar aa gae
dekh tera qasr-e-ali-shan KHali kar diya

dushmanon ne shust bandhi KHema-e-ummid par
doston ne darra-e-imkan KHali kar diya

banTne nikla hai wo phulon ke tohfe shahr mein
is KHabar par hum ne bhi gul-dan KHali kar diya

le gaya wo sath apne dil ki sari raunaqen
kis qadar ye shahr tha gunjaan KHali kar diya

sari chiDiyan uD gain mujh ko akela chhoD kar
mere ghar ka sehn aur dalan KHali kar diya

Diary mein sare achchhe sher chun kar likh liye
ek laDki ne mera diwan KHali kar diya