nind miTTi ki mahak sabze ki ThanDak
mujh ko apna ghar bahut yaad aa raha hai
Abdul Ahad Saaz
phir nai hijrat koi darpesh hai
KHwab mein ghar dekhna achchha nahin
Abdullah Javed
mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'
khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha
Abul Mujahid Zahid
suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz'
to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain
Ahmad Mahfuz
pata ab tak nahin badla hamara
wahi ghar hai wahi qissa hamara
Ahmad Mushtaq
ye dasht wo hai jahan rasta nahin milta
abhi se lauT chalo ghar abhi ujala hai
Akhtar Saeed Khan
hiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya
ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla
Aleem Masroor