makan hai qabr jise log KHud banate hain
main apne ghar mein hun ya main kisi mazar mein hun
Muneer Niyazi
main apne ghar mein hun ghar se gae huon ki tarah
mere hi samne hota hai tazkira mera
Muzaffar Warsi
akela us ko na chhoDa jo ghar se nikla wo
har ek bahane se main us sanam ke sath raha
Nazeer Akbarabadi
kis se puchhun ki kahan gum hun kai barson se
har jagah DhunDhta phirta hai mujhe ghar mera
Nida Fazli
pahle har chiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain
Nida Fazli
sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
Nida Fazli
Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega
phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi
Rajinder Manchanda Bani