koi bhi ghar mein samajhta na tha mere dukh sukh
ek ajnabi ki tarah main KHud apne ghar mein tha
Rajinder Manchanda Bani
ek ghar bana ke kitne jhamelon mein phans gae
kitna sukun be-sar-o-samaniyon mein tha
Riaz Majeed
ab ghar bhi nahin ghar ki tamanna bhi nahin hai
muddat hui socha tha ki ghar jaenge ek din
Saqi Faruqi
ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai
Shahryar
mujhe bhi lamha-e-hijrat ne kar diya taqsim
nigah ghar ki taraf hai qadam safar ki taraf
Shehpar Rasool
wahan hamara koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaana chahte hain hum
Wali Aasi