tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad
sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo
Irfan Siddiqi
gurez-pa hai naya rasta kidhar jaen
chalo ki lauT ke hum apne apne ghar jaen
Jamal Owaisi
ab tak na KHabar thi mujhe ujDe hue ghar ki
wo aae to ghar be-sar-o-saman nazar aaya
Josh Malihabadi
kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt puchha tha
yahi aawaz ab tak gunjti hai mere kanon mein
Kafeel Aazar Amrohvi
us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Kafeel Aazar Amrohvi
'kaif' pardes mein mat yaad karo apna makan
ab ke barish ne use toD giraya hoga
Kaif Bhopali
ab yaad kabhi aae to aaine se puchho
'mahbub-KHizan' sham ko ghar kyun nahin jate
Mahboob Khizan