اردو हिंदी
Kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai | Shaahi Shayari
kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai

Ghazal

Kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai

Akhtar Saeed Khan

;

kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai
gharib dil pe ajab hasraton ka saya hai

saba ne jagti aankhon ko chum chum liya
na jaane aaKHir-e-shab intizar kis ka hai

ye kis ki jalwagari kaenat hai meri
ki KHak ho ke bhi dil shola-e-tamanna hai

teri nazar ki bahaar-afriniyan taslim
magar ye dil mein jo kanTa sa ek khaTakta hai

jahan-e-fikr-o-nazar ki uDa rahi hai hansi
ye zindagi jo sar-e-rahguzar tamasha hai

ye dasht wo hai jahan rasta nahin milta
abhi se lauT chalo ghar abhi ujala hai

yahi raha hai bas ek dil ke gham-gusaron mein
Thahar Thahar ke jo aansu palak tak aata hai

Thahar gae ye kahan aa ke roz o shab 'aKHtar'
ki aaftab hai sar par magar andhera hai