اردو हिंदी
Pata ab tak nahin badla hamara | Shaahi Shayari
pata ab tak nahin badla hamara

Ghazal

Pata ab tak nahin badla hamara

Ahmad Mushtaq

;

pata ab tak nahin badla hamara
wahi ghar hai wahi qissa hamara

wahi TuTi hui kashti hai apni
wahi Thahra hua dariya hamara

ye maqtal bhi hai aur kunj-e-aman bhi
ye dil ye be-nishan kamra hamara

kisi jaanib nahin khulte dariche
kahin jata nahin rasta hamara

hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'
hamare sath hai saya hamara