sazaen to har haal mein lazmi thin
KHataen na kar ke pashemaniyan hain
Azad Ansari
talab-e-ashiq-e-sadiq mein asar hota hai
go zara der mein hota hai magar hota hai
Azad Ansari
aaj aaine mein KHud ko dekh kar yaad aa gaya
ek muddat ho gai jis shaKHs ko dekhe hue
Azad Gulati
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the
us pe ta-umr kisi ko bhi guzarne na diya
Azad Gulati
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
Azad Gulati
apni sari kawishon ko raegan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya
Azad Gulati
dasht-e-zulmat mein ham-rah mere
koi to hai jo jala hai mujh mein
Azad Gulati