sans leta hun to dam ghuTta hai
kaisi be-dard hawa hai yaro
Ayub Rumani
kaha ye main ne bhala kab ki mat saza dije
magar qusur to mujh ko mera bata dije
Ayub Sabir
shafaq hun suraj hun raushni hun
salib-e-gham par ubhar raha hun
Ayub Sabir
afsos be-shumar suKHan-ha-e-guftani
KHauf-e-fasad-e-KHalq se na-gufta rah gae
Azad Ansari
agar kar-e-ulfat ko mushkil samajh lun
to kya tark-e-ulfat mein aasaniyan hain
Azad Ansari
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
kise fursat ki farz-e-KHidmat-e-ulfat baja lae
na tum bekar baiThe ho na hum bekar baiThe hain
Azad Ansari