dasht-e-wahshat-KHez mein uryan hai 'agha' aap hi
qasid-e-jaanan ko kya deta jo KHilat mangta
Aagha Akbarabadi
dekhiye par ho kis tarah se beDa apna
mujh ko tufan ki KHabar dida-e-tar dete hain
Aagha Akbarabadi
dekho to ek ja pe Thaharti nahin nazar
lapka paDa hai aankh ko kya dekh-bhaal ka
Aagha Akbarabadi
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubarak ho
galim-e-kohna mein jaDa faqiron ka basar hoga
Aagha Akbarabadi
hath donon meri gardan mein hamail kije
aur ghairon ko dikha dije anguTha apna
Aagha Akbarabadi
hum na kahte the ki sauda zulf ka achchha nahin
dekhiye to ab sar-e-bazar ruswa kaun hai
Aagha Akbarabadi
hamein to un ki mohabbat hai koi kuchh samjhe
hamare sath mohabbat unhen nahin to nahin
Aagha Akbarabadi