dekhne wale mujhe meri nazar se dekh le
main teri nazron mein hun aur main hi har manzar mein hun
Azad Gulati
ek wo hain ki jinhen apni KHushi le Dubi
ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya
Azad Gulati
har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se
koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko
Azad Gulati
kis se puchhen raat-bhar apne bhaTakne ka sabab
sab yahan milte hain jaise nind mein jage hue
Azad Gulati
kise milti najat 'azad' hasti ke masail se
ki har koi muqayyad aab o gil ke silsilon ka tha
Azad Gulati
kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se
jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai
Azad Gulati
main sath le ke chalunga tumhein ai ham-safro
main tum se aage hun lekin Thaharne wala hun
Azad Gulati