tere falak hi se TuTne wali raushni ke hain aks sare
kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein
Atiiqullah
tum ne to faqat us ki riwayat hi suni hai
hum ne wo zamana bhi guzarte hue dekha
Atiiqullah
wo baat thi to kai dusre sabab bhi the
ye baat hai to sabab dusra nahin hoga
Atiiqullah
wo raat nind ki dahliz par tamam hui
abhi to KHwab pe ek aur KHwab dharna tha
Atiiqullah
ye dekha jae wo kitne qarib aata hai
phir is ke baad hi inkar kar ke dekha jae
Atiiqullah
ye rah-e-talab yaro gumrah bhi karti hai
saman usi ka tha jo be-sar-o-saman tha
Atiiqullah
zara se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ek charagh se kitne charagh jalte the
Atiiqullah