اردو हिंदी
Apni sari kawishon ko raegan maine kiya | Shaahi Shayari
apni sari kawishon ko raegan maine kiya

Ghazal

Apni sari kawishon ko raegan maine kiya

Azad Gulati

;

apni sari kawishon ko raegan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya

sar pe jab saya raha koi na dauran-e-safar
us ki yaadon ko phir apna saeban main ne kiya

ab yahan par sans tak lena mujhe dushwar hai
kis tamanna par zamin ko aasman main ne kiya

lamha lamha waqt ke hathon kiya KHud ko supurd
sab ganwa baiTha to phir fikr-e-ziyan main ne kiya

jab na us ke aur mere darmiyan kuchh bhi raha
KHud ko hi phir us ke apne darmiyan main ne kiya

donon chup the zor se chalti hawa ke samne
phir achanak KHushk patton ko zaban main ne kiya