phenka tha hum pe jo kabhi us ko uTha ke dekh
jo kuchh lahu mein tha usi patthar pe naqsh hai
Azad Gulati
aushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya
Azad Gulati
sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main
kuchh purane se calender zehn ki diwar pa
Azad Gulati
sameT lata hun moti tumhaari yaadon ke
jo KHalwaton ke samundar mein Dubta hun main
Azad Gulati
sameT lo mujhe apni sada ke halqon mein
main KHamushi ki hawa se bikharne wala hun
Azad Gulati
shayad tum bhi ab na mujhe pahchan sako
ab main KHud ko apne jaisa lagta hun
Azad Gulati
tumhein bhi mujh mein na shayad wo pahli baat mile
KHud apne waste ab koi dusra hun main
Azad Gulati