use bhi jate hue tum ne mujh se chhin liya
tumhaara gham to meri aarzu ka zewar tha
Azad Gulati
waqt ka ye moD kaisa hai ki tujh se mil ke bhi
tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya
Azad Gulati
wo waqt aaega jab KHud tumhi ye sochogi
mila na hota agar tujh se main to behtar tha
Azad Gulati
yaadon ki mahfil mein kho kar
dil apna tanha tanha hai
Azad Gulati
ye main tha ya mere andar ka KHauf tha jis ne
tamam umar di tanhai ki saza mujh ko
Azad Gulati
zindagi ai zindagi!! aa do ghaDi mil kar rahen
tujh se mera umr-bhar ka to koi jhagDa na tha
Azad Gulati
is tarah phunk mera gulistan-e-arzu
phir koi tere baad ise viran na kar sake
Azam Chishti