ajab KHulus ajab sadgi se karta hai
daraKHt neki baDi KHamushi se karta hai
Atul Ajnabi
kisi daraKHt se sikho saliqa jine ka
jo dhup chhanw se rishta banae rahta hai
Atul Ajnabi
patton ko chhoD deta hai aksar KHizan ke waqt
KHud-gharzi hi kuchh aisi yahan har shajar mein hai
Atul Ajnabi
safar ho shah ka ya qafila faqiron ka
shajar mizaj samajhte hain rahgiron ka
Atul Ajnabi
ye rahbar aaj bhi kitne purane lagte hain
ki peD dur se rasta dikhane lagte hain
Atul Ajnabi
yun bhi mili hai mujh ko mere zabt-e-gham ki dad
aksar wo sar jhukae hue muskurae hain
Ayaz Jhansvi
hum chahte the mah-e-daraKHshan ko dekhna
us ne hamein dariche se chehra dikha diya
Ayesha Masood Malik