اردو हिंदी
Go mera sath meri apni nazar ne na diya | Shaahi Shayari
go mera sath meri apni nazar ne na diya

Ghazal

Go mera sath meri apni nazar ne na diya

Azad Gulati

;

go mera sath meri apni nazar ne na diya
dasht-e-tanhai mein ai dil tujhe Darne na diya

zindagi kitna teri baat ka hai pas hamein
tu ne jo zaKHm diya hum ne wo bharne na diya

ek wo hain ki jinhen apni KHushi le Dubi
ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya

aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the
us pe ta-umr kisi ko bhi guzarne na diya

hum to har haal sanwara kiye haalat 'azad'
hum ko haalat ne har-chand sanwarne na daya