nau-jawanon ko dekh kar 'hatim'
yaad ahd-e-shabab aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
nazar mein band kare hai tu ek aalam ko
fusun hai sehr hai jadu hai kya hai aankhon mein
Shaikh Zahuruddin Hatim
nazar mein us ki jo chaDhta hai so jita nahin bachta
hamara sanwla us shahr ke goron mein kala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ne kaba ki hawas na hawa-e-kunisht hai
dekha to donon jae wahi sang-o-KHisht hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
nigahen joD aur aankhen chura Tuk chal ke phir dekha
mere chehre upar ki shah-e-KHuban ne nazar sani
Shaikh Zahuruddin Hatim
teri mehrab mein abru ki ye KHal
kidhar se aa gaya masjid mein hindu
Shaikh Zahuruddin Hatim
teri nigah se gae khul kiwaD chhati ke
hisar-e-qalb ki goya thi fath tere nam
Shaikh Zahuruddin Hatim
tum to baiThe hue pe aafat ho
uTh khaDe ho to kya qayamat ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
wahin khaTakne laga baal baal aankhon mein
Shaikh Zahuruddin Hatim