kis tarah pahunchun main apne yar kin punjab mein
ho gaya rahon mein chashmon se do-aba be-tarah
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis se kahun main haal-e-dil apna ki ta sune
is shahr mein raha bhi koi dard-mand hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
KHuda ko jis se pahunchen hain wo aur hi rah hai zahid
paTakte sar teri go ghis gai sajdon se peshani
Shaikh Zahuruddin Hatim
KHaksaron ka dil KHazina hai
is zamin mein bhi kuchh dafina hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
khel sab chhoD khel apna khel
aap qudrat ka tu khilauna hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
KHuda ke waste us se na bolo
nashe ki lahr mein kuchh bak raha hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kohkan jaan-kani hai mushkil kaam
warna bahtere hain pathar phoDe
Shaikh Zahuruddin Hatim
khul gai jis ki aankh misl-e-habab
ghar ko apne KHarab jaane hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
KHum-KHana mai-kashon ne kiya is qadar tahi
qatra nahin raha hai jo shishe nichoDiye
Shaikh Zahuruddin Hatim