tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae
jahan mein kaam the jitne tamam bhul gae
Shaikh Zahuruddin Hatim
tumhaari dekh saj ai tang-posho
hue Dhile mere kapDe badan ke
Shaikh Zahuruddin Hatim
zahid ko hum ne dekh KHarabaat mein kaha
masjid ko apni chhoD kaho tum yahan kahan
Shaikh Zahuruddin Hatim
ye kis mazhab mein aur mashrab mein hai hindu musalmano
KHuda ko chhoD dil mein ulfat-e-dair-o-haram rakhna
Shaikh Zahuruddin Hatim
ye masla shaiKH se puchho hum is jhagDe se farigh hai
ki DaDhi shahr mein kis ki baDi aur kis ki chhoTi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
yun na ho yun ho yun hua so kyun
kya hai ye guftugu hua so hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
zarf TuTa to wasl hota hai
dil koi TuTa kis tarah joDe
Shaikh Zahuruddin Hatim
zulfon ki nagani to teri hum ne keliyan
par abruwan se bas nahin chalta ki hain pankit
Shaikh Zahuruddin Hatim
wo wahshi is qadar bhaDka hai surat se mere yaro
ki apne dekh sae ko mujhe hamrah jaane hai
Shaikh Zahuruddin Hatim